🇮🇳 India's First UPI Autopay Manager

Apne Autopay
Ka Asli Boss.

रुकजा — हर महीने कितना kat raha hai, jaano.

Aapke bank account se har mahine automatically paisa katta hai — OTT, insurance, DTH, grocery. Aur aapko pata bhi nahi. RukJa sab ek jagah dikhata hai, aur poora control deta hai.

नमस्कार 🙏
राजेश भाई!
पिछले 6 महीने में कट गया
0
8 active autopay · अलग-अलग apps से
📺
JioCinema
₹149/माह · PhonePe
Active
🎬
Hotstar
₹299/माह · GPay
⚠️ कल
🛡️
HDFC Insurance
₹850/माह · BHIM
Active
🛒
Amazon Prime
₹179/माह · Paytm
Snoozed
+4 more mandates
35 crore+ active UPI autopay mandates in India today
₹2,430 average monthly drain per user — most of it forgotten
8 out of 10 people don't know all their active mandates
NPCI processed ₹20,646 Cr in autopay transactions in March 2025
RukJa finds all mandates in under 60 seconds
35 crore+ active UPI autopay mandates in India today
₹2,430 average monthly drain per user — most of it forgotten
8 out of 10 people don't know all their active mandates
NPCI processed ₹20,646 Cr in autopay transactions in March 2025
RukJa finds all mandates in under 60 seconds
35Cr+
Active UPI autopay mandates in India
2,430
Average monthly drain per UPI user
₹4
RukJa trial — less than one chai
60s
Time to find all your mandates
Samasyaa

Pata bhi nahi aur kat raha hai.

Har subscription ne ek autopay mandate banaya. Aur zyaadatar toh aap bhool hi gaye.

😤

Bank statement nahi padhte

₹850

HDFC Life insurance autopay 2022 se chal raha tha. User ko yaad bhi nahi tha. RukJa ne 8 second mein dhundha.

😱

Trial se subscription ban gaya

₹299

"Maine sirf 1 mahine ka trial liya tha" — 2.3 crore Indians ne Hotstar trial cancel karna bhool gaye.

🤯

Teen apps — ek mandate kahan hai?

15 min

GPay, PhonePe, Paytm — mandates bikhar gaye hain. Ek cancel karne mein 3 apps aur 15 minute lagte hain.

Kaise kaam karta hai

Teen kadam. Poora control.

1
📱

Install karein — SMS scan hoga

RukJa aapke bank SMS padhta hai aur 60 seconds mein saare active autopay mandates dhundh leta hai. Koi manual entry nahi.

Automatic · 60 seconds
2
🔓

₹4 mein poora hisaab dekhein

Sirf ₹4 mein unlock karein — kaunsa mandate kab kaata hai, 6 mahine mein kul kitna gaya, aur kya band karna chahiye.

Sirf ₹4
3

Pause, snooze, ya band karein

Ek tap mein koi bhi mandate rok do ya band karo. RukJa seedha aapke UPI app mein le jaata hai — koi manual navigation nahi.

Instant control
Features

Sab kuch ek jagah.

🔍

SMS-based mandate detection

Bank SMS se automatically saare active mandates dhundhe jaate hain. HDFC, ICICI, SBI, Axis — sab banks support karta hai.

🔔

24-hour advance alerts

Har debit se 24 ghante pehle notification — taki aap ready rahein. Ek tap se mandate pause kar sakte hain.

⏸️

Pause, snooze, cancel

Koi bhi mandate 1, 3, ya 6 mahine ke liye snooze karein, ya directly band karein — RukJa UPI app mein seedha le jaata hai.

🤝

AI Saathi — Hindi mein

Koi bhi financial sawaal poochho — UPI, mandates, savings, ya scams ke baare mein. Hindi mein jawab milega.

🚨

Local scam alerts

Aapke sheher mein chal rahe latest financial frauds aur scams ke baare mein real-time alerts — andar hi andar app mein.

📚

Financial literacy hub

UPI basics, FD vs RD, government schemes — simple Hindi mein samjhao. Audio mode bhi available hai.

Pricing

Chai se bhi sasta.

Ek baar ₹4 do — aur ₹4,999 tak bachao saal mein. Phir sirf ₹39 har 28 din, kabhi bhi cancel karo.

Saare mandates ek jagah dekhein
24-hour advance debit alerts
Pause, snooze, cancel controls
AI Saathi — Hindi mein jawab
Scam alerts aur financial tips
8 Indian languages supported
Kabhi bhi cancel — koi penalty nahi
Trial Entry
4
One-time · unlock karo, dekho
Phir har 28 din
₹39
UPI AutoPay via your existing app
Kabhi bhi cancel karo
Scam Alerts

Fraud se
bachao bhi karta hai.

RukJa sirf mandates nahi track karta — aapke sheher ke latest financial scams bhi alert karta hai. Real-time updates, Hindi mein.

High Risk Agra · Lucknow · Patna
Fake KYC Update Call Scam
Bank bankar call aati hai — OTP maangte hain. Bank kabhi OTP nahi maangta. Call kaatein, seedha branch jayein.
Medium Risk Pan India
Fake Investment App — WhatsApp par
Pehle profit dikhate hain, phir sab le jaate hain. Koi bhi APK link par click na karein.
Medium Risk Tier 2/3 Cities
SIM Block Fraud Call
"Aapka SIM block hone wala hai" — Telecom company aisa call nahi karti. Seedha 198 par complaint karein.
Vernacular Support

Aapki bhasha mein.

RukJa Bharat ke liye bana hai — sirf English-walon ke liye nahi. Phase 1 mein 3 languages, Phase 2 mein 8.

हिंदी
Hindi · Phase 1
भोजपुरी
Bhojpuri · Phase 1
मराठी
Marathi · Phase 1
ਪੰਜਾਬੀ
Punjabi · Phase 2
ગુજરાતી
Gujarati · Phase 2
తెలుగు
Telugu · Phase 2
தமிழ்
Tamil · Phase 2
राजस्थानी
Rajasthani · Phase 2
FAQ

Sawaal? Jawab yahan hai.

Kya RukJa mera UPI PIN ya bank password maangta hai?+
Bilkul nahi. RukJa sirf aapke bank SMS padhta hai — jo pehle se aapke phone par hain. Koi password, koi credentials, koi OTP share karne ki zaroorat nahi. Saara data aapke phone par hi rehta hai — kuch bhi bahar nahi jaata.
RukJa kaunse banks aur UPI apps ke mandates detect karta hai?+
RukJa bank SMS scan karta hai — HDFC, ICICI, SBI, Axis, Kotak, PNB, aur 30+ other banks support karta hai. UPI app chahे GPay ho, PhonePe ho, ya Paytm — mandate detect hoga kyunki bank SMS bhejta hai, UPI app nahi.
Mandate cancel karne se kya subscription band ho jaata hai?+
Sirf automatic payment rukti hai — merchant ki service band nahi hoti. Jaise Hotstar ka UPI mandate cancel karo, toh Hotstar agle mahine apne aap nahi kaatega. Lekin Hotstar account tabhi band hoga jab aap unke app par seedha cancel karein. RukJa yeh baat cancel se pehle clearly batata hai.
RukJa ka subscription ₹39 kabhi bhi cancel ho sakta hai?+
Haan. Profile section mein anytime cancel kar sakte hain — koi penalty nahi, koi sawaal nahi. Current 28-day cycle khatam hone tak access milta rehega. Aur agar cancel karna bhi chaho toh pehle ek free month offer karte hain.
iOS par kab aayega?+
Abhi sirf Android. SMS reading ke liye Android zaroori hai — iOS par SMS access nahi milta same tarike se. iOS version ki planning hai — timeline announce karenge.
Kya RukJa offline bhi kaam karta hai?+
Haan. Mandate data phone par locally store hota hai. Internet na ho tab bhi saare mandates dekh sakte hain. Sync tab hota hai jab connection aata hai. 2G connections par bhi smoothly kaam karta hai.